Home | Index of Poets Krishan Adeeb



jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad


jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad 
aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad 

ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yaqii.n 
mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaalabii shaam ke baad 

yuu.N to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa 
dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad 

yuu.N to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii 'Adeeb' 
ab to kuchh aur ba.Dii dil kii lagii shaam ke baad 



Home | Index of Poets Krishan Adeeb