Home | Index of Poets Liyaqat Ali Aasim



kahii.n aisaa naa ho daaman jalaa lo


kahii.n aisaa naa ho daaman jalaa lo 
hamaare aa.Nsuo.n par Khaak Daalo 

manaanaa hii zaruurii hai to phir tum 
hame.n sab se Khafaa hokar manaa lo 

bahut ro_ii hu_ii.n lagatii hai.n aa.Nkhe.n 
merii Khaatir zaraa kaajal lagaa lo 

akelepan se Khauf aataa hai mujh ko 
kahaa.N ho ai mere Khvaabo.n Khayaalo.n 

bahut maayuus baiThaa huu.N mai.n tum se 
kabhii aakar mujhe hairat me.n Daalo 



Home | Index of Poets Liyaqat Ali Aasim