|
dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa
dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa
sun liijiyo ke arsh kaa aivaan bah gayaa
[aan = moment; arsh = heaven; aivaan = palace]
zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa
yuu.N roye phuuT phuuT ke paa.Nvo.n ke aabale
naalaa saa ek suu-e-biyaabaan bah gayaa
[aabale = blisters; naalaa = stream; suu-e-biyaabaan= towards wilderness]
kashtii savaar-e-umr huu.N bahr-e-fanaa me.n mai.n
jis dam bahaa ke le gayaa tuufaan bah gayaa
thaa 'Zauq' pahale dillii me.n panjaab kaa saa husn
par ab vo paanii kahate hai.n multaan bah gayaa
|